Erectile Dysfunction - Male Impotence
-
amooman 8/10 hafton mein mukammal control hasil ho jata
hai ya kabhi pehley bhi kabhi kuch der ba'ad bhi.
-
Agar mian aap ki madad sey iss masley per control hasil na
karsakey to phir kisi achey mahir e nafsiyat sey elaj
karaey.
Mardana Kamzori
Erectile
Dysfunction
Mardon ka ahem tareen masla
Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile
dysfunction ko aam tor sey
male impotence kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard
ko tana'u hota hi nahin ba'az afraad ko tana'u to hota hai
magar dakhool kay waqt ek dum khatam ho jata hai aur kuch
afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata hai jis ki
wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh
masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein
naujawan pagal ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey
hain iss
surat mein shaadi ka qayem
rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Merey paas
kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee
sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin
aatey, amooman yeh log surat e haal kafi
bigarrney kay ba'ad aatey hain.
Jab fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho
to iss ka masla jismani nahin bul kay nafsiyati hota hai yeh
masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati hota hai aksar
wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey
kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar
kay baad bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti
hai. Yeh beemari ya kisi beemari ki adviyat kay side effects
hotey hain.
|