|
Intercourse - Mubashrat
Chapter - 3
Mubashrat
(Intercourse)
Shaadi ki
bunyad mubashrat hai magar humarey haan aksar
log iss ki alif bay sey bhi waqif nahin yaqeen karein kuch
logon ko to yeh bhi ma'aloom nahin kay mubashrat kahan hoti
hai woh exact jagah konsi hai? Iss silsilay mein humari
khawateen ki ma'aloomaat to na honey kay baraber hain jis ki
wajah sey woh azdwajii zindagi sey bharpoor andaaz sey lutf
andooz nahin hotiin bul kay aksar to shadeed jhunjhalahat
(frustration) ka shikar hoti rehti hain.
Humarey haan amooman
mubashrat ko achi cheez nahin samjha jata jis ki
wajah sey aksar khawateen jinsi amal mein bharpoor shirkat aur
ta'awwun nahin kartiin nateejatan woh khud bhi aksar auqaat
azdwajii lutf sey mehroom rehti hain aur khawand bhi bharpoor
jinsi sukoon aur lutf hasil nahin kar pata. Haala'n kay islam
mein shadi kay ba'ad mubashrat koi na
pasandeeda cheez nahin bul kay Allah kay nabi ney mubashrat ko
naekii aur sadqa qaraar diya hai jis ka sawab milta
hai.(muslim) aur agar biwi ta'awwun na karey to woh gunah ki
murtakib hoti hai. (bukhari)
Aksar khawateen kay nazdeek
mubashrat ek takleef deh cheez hai aur woh
iss se khauf zada hoti hain chuna'ncha mubashrat kay iss khud
saakhta khauf ki wajah se inn ka jism tann aur akar jata hai,
khusoosan faraj (vagina) kay muscles tann jatey hain jis ki
wajah se mubashrat ka amal takleef deh ho
jata hai.
|